kis liye is se nikalne ki duaen mangun
mujh ko malum hai manjdhaar se aage kya hai
Azlan shah
kisi ke nam pe nanhe diye jalate hue
KHuda ko bhul gae nekiyan kamate hue
Azlan shah
mujh ko pahchan tu ai waqt main wo hun jo faqat
ek ghalati ke liye arsh-e-barin se nikla
Azlan shah
na hath sukh ke jhaDte hain jism se apne
na shaKH koi samar-bar apni hoti hai
Azlan shah
tawil umr ki Dheron duaen bheji hain
mere charagh ko pani se bharne walon ne
Azlan shah
tum mohabbat ka use nam bhi de lo lekin
ye to qissa kisi haari hui taqdir ka hai
Azlan shah
tu aa gaya hai to ab yaad bhi nahin mujh ko
ye ishq mera bura haal karne wala tha
Azlan shah