tum pe ilzam na aa jae safar mein koi
rasta kitna hi dushwar ho Thahra na karo
Aziz Warsi
tumhaari zat se mansub hai diwangi meri
tumhin se ab meri diwangi dekhi nahin jati
Aziz Warsi
Duba safina jis mein musafir koi na tha
lekin bhare hue the wahan na-KHuda bahut
Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri
na jaane kaun si manzil pe ishq aa pahuncha
dua bhi kaam na aae koi dawa na lage
Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri
shayad yahi kitab-e-mohabbat ho la-jawab
meri wafa ke sath hai teri jafa bahut
Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri
shahr ho dasht-e-tamanna ho ki dariya ka safar
teri taswir ko sine se laga rakkha hai
Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri
ye baat sach hai ki marna sabhi ko hai lekin
alag hi hoti hai lazzat nigah-e-qatil ki
Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri