zamin mom ki hoti hai mere qadmon mein
mera sharik-e-safar aaftab hota hai
Aziz Bano Darab Wafa
zard chehron ki kitaben bhi hain kitni maqbul
tarjume un ke jahan bhar ki zabanon mein mile
Aziz Bano Darab Wafa
zindagi bhar main khuli chhat pe khaDi bhiga ki
sirf ek lamha barasta raha sawan ban ke
Aziz Bano Darab Wafa
zindagi ke sare mausam aa ke ruKHsat ho gae
meri aankhon mein kahin barsat baqi rah gai
Aziz Bano Darab Wafa
har ek ke chehre pe hai tashwish numayan
baiThe hain masiha tere bimar se lag ka
Aziz Ejaz
jaise koi rota hai gale pyar se lag kar
kal raat main roya teri diwar se lag ka
Aziz Ejaz
aise bandon ko jaanta hun main
jin ka wahid ilaj malish hai
Aziz Faisal