KHayal aata hai akasr utar phenkun badan
ki ye libas meri KHak se ziyaada hai
Azim Haidar Syed
kis liye KHud ko samajhta hai wo patthar ki lakir
us ka inkar bhi iqrar mein aa sakta hai
Azim Haidar Syed
libas dekh ke itna hamein gharib na jaan
hamara gham teri imlak se ziyaada hai
Azim Haidar Syed
sar pe suraj hai to phir chhanw se mahzuz na ho
dhup ka rang bhi diwar mein aa sakta hai
Azim Haidar Syed
nasha TuTa nahin hai mar kha kar
ki hum ne pi hai kam khai bahut hai
Aziz Ahmad
andhera itna hai ab shahr ke muhafiz ko
har ek raat koi ghar jalana paDta hai
Aziz Ahmad Khan Shafaq
ahut dinon se idhar us ko yaad bhi na kiya
bahut dinon se udhar ka KHayal kyun aaya
Aziz Ahmad Khan Shafaq