tum us ki baaton mein na aana
ye duniya to tamasha dekhti hai
Azhar Adeeb
tu apni marzi ke sabhi kirdar aazma le
mere baghair ab teri kahani nahin chalegi
Azhar Adeeb
use baam-e-pazirai pe kaise chhoD dun ab
yahi tanhai to mere liye siDhi bani hai
Azhar Adeeb
usi ne sab se pahle haar mani
wahi sab se dilawar lag raha tha
Azhar Adeeb
wo dariya hai use rasta badalne ki aadat hai
zara si baat par sine ko sahra kar liya tu ne
Azhar Adeeb
ye shaKHs jo tujhe aadha dikhai deta hai
is aadhe shaKHs ko apna bana ke dekh kabhi
Azhar Adeeb
zara si der tujhe aaina dikhaya hai
zara si baat par itne KHafa nahin hote
Azhar Adeeb