hum ne ghar ki salamti ke liye
KHud ko ghar se nikal rakkha hai
Azhar Adeeb
hum un ki aas pe umren guzar dete hain
wo moajize jo kabhi runuma nahin hote
Azhar Adeeb
hamare nam ki taKHti bhi un pe lag na saki
lahu mein gundh ke miTTi jo ghar banae gae
Azhar Adeeb
hamein roko nahin hum ne bahut se kaam karne hain
kisi gul mein mahakna hai kisi baadal mein rahna hai
Azhar Adeeb
hawa ko zid ki uDaegi dhul har surat
hamein ye dhun hai ki aaina saf karna hai
Azhar Adeeb
is liye main ne muhafiz nahin rakkhe apne
mere dushman mere is jism se bahar kam hain
Azhar Adeeb
itna bhi inhisar mere sae par na kar
kya jaane kab ye mom ki diwar gir paDe
Azhar Adeeb