main us ka nam le baiTha tha ek din
zamane ko bahana chahiye tha
Azhar Adeeb
mere hare wajud se pahchan us ki thi
be-chehra ho gaya hai wo jab se jhaDa hun main
Azhar Adeeb
nikal aaya hun aage us jagah se
jahan se lauT jaana chahiye tha
Azhar Adeeb
sare manzar mein samaya hua lagta hai mujhe
koi is shahr mein aaya hua lagta hai mujhe
Azhar Adeeb
samajh mein aa to sakti hai saba ki guftugu bhi
magar is ke liye masum hona lazmi hai
Azhar Adeeb
shab bhar aankh mein bhiga tha
pure din mein sukha KHwa
Azhar Adeeb
subh kaisi hai wahan sham ki rangat kya hai
ab tere shahr mein haalat ki surat kya hai
Azhar Adeeb