jab bhi chahun tera chehra soch sakun
bas itni si baat mere imkan mein rakh
Azhar Adeeb
jo zindagi ki mang sajate rahe sada
qiston mein banT kar unhen jina diya gaya
Azhar Adeeb
kabhi us se dua ki khetiyan sairab karna
jo pani aankh ke andar kahin Thahra hua hai
Azhar Adeeb
kisi ki zat mein zam ho gaya hun
main apne aap mein gham ho gaya hun
Azhar Adeeb
lahje aur aawaz mein rakkha jata hai
ab to zahr alfaz mein rakkha jata hai
Azhar Adeeb
logo hum to ek hi surat mein hathiyar uThate hain
jab dushman ho apne jaisa KHud-sar bhi aur ham-sar bhi
Azhar Adeeb
main jis lamhe ko zinda kar raha hun muddaton se
wahi lamha mera inkar karna chahta hai
Azhar Adeeb