tumhaare sath mere muKHtalif marasim hain
meri wafa pe kabhi inhisar mat karna
Asim Wasti
tu mere pas jab nahin hota
tujh se karta hun kis qadar baaten
Asim Wasti
waqt be-waqt jhalakta hai meri surat se
kaun chehra meri tashkil mein aaya hua hai
Asim Wasti
ye ham-safar to sabhi ajnabi se lagte hain
main jis ke sath chala tha wo qafila hai kahan
Asim Wasti
zawiya dhup ne kuchh aisa banaya hai ki hum
sae ko jism ki jumbish se juda dekhte hain
Asim Wasti
aaine par to hai bharosa mujhe
us se kyun munh chhupae baiThi hun
Asima Tahir
aam-o-dar par utarne wali dhup
sabz rang-e-malal rakhti hai
Asima Tahir