jaane wale ko kahan rok saka hai koi
tum chale ho to koi rokne wala bhi nahin
Aslam Ansari
jise darpesh judai ho use kya malum
kaun si baat ko kis tarah bayan hona hai
Aslam Ansari
ju-e-naghmat pe taswir si larzan dekhi
lab-e-taswir pe Thahra hua naghma dekha
Aslam Ansari
KHafa na ho ki tera husn hi kuchh aisa tha
main tujh se pyar na karta to aur kya karta
Aslam Ansari
kise kahen ki rifaqat ka dagh hai dil par
bichhaDne wala to khul kar kabhi mila hi na tha
Aslam Ansari
ag-e-har-saz ye kahti hai ki ai naghma-taraaz
mujh ko ek saltanat-e-saut-o-sada chahiye thi
Aslam Ansari
uDa hai rafta rafta rang taswir-e-mohabbat ka
hui hai rasm-e-ulfat be-wiqar aahista aahista
Aslam Ansari