meri zaban ke mausam badalte rahte hain
main aadmi hun mera e'tibar mat karna
Asim Wasti
mujhe KHabar hi nahin thi ki ishq ka aaghaz
ab ibtida se nahin darmiyan se hota hai
Asim Wasti
nahin wo sham-e-mohabbat rahi to phir 'asim'
ye kis dua se mere ghar mein raushni si hai
Asim Wasti
sikha na duaon mein qanaat ka saliqa
wo mang raha hun jo muqaddar mein nahin hai
Asim Wasti
tez itna hi agar chalna hai tanha jao tum
baat puri bhi na hogi aur ghar aa jaega
Asim Wasti
teri zamin pe karta raha hun mazduri
hai sukhne ko pasina muawza hai kahan
Asim Wasti
tum is raste mein kyun barud boe ja rahe ho
kisi din is taraf se KHud guzarna paD gaya to
Asim Wasti