sham Dhalne se faqat sham nahin Dhalti hai
umr Dhal jati hai jaldi palaT aana mere dost
Ashfaq Nasir
sham hoti hai to lagta hai koi ruTh gaya
aur shab us ko manane mein guzar jati hai
Ashfaq Nasir
wo jis mein lauT ke aati thi ek shahzadi
abhi talak nahin bhuli wo dastan mujh ko
Ashfaq Nasir
wo phul ho sitara ho shabnam ho jhil ho
teri kitab-e-husn ke sab iqtibas the
Ashfaq Nasir
wo shaKHs jis ki KHushi ka bais thin meri baaten
use ab un par malal karne bhi aa gae hain
Ashfaq Nasir
hum se puchho mizaj barish ka
hum jo kachche makan wale hain
Ashfaque Anjum
aao to mere sahn mein ho jae raushni
muddat guzar gai hai charaghan kiye hue
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman