duaen kijiye ghunchon ke muskurane ki
abhi umid hai baqi bahaar aane ki
Ashok Sawhny Sahil
aat wo jo kabhi hui hi nahin
hum usi baat ka maza lenge
Ashraf Naqvi
ai shaiKH agar kufr se islam juda hai
pas chahiye tasbih mein zunnar na hota
Ashraf Ali Fughan
dil-bastagi qafas se yahan tak hui mujhe
goya kabhi chaman mein mera aashiyan na tha
Ashraf Ali Fughan
jugnu miyan ki dum jo chamakti hai raat ko
sab dekh dekh us ko bajate hain taliyan
Ashraf Ali Fughan
kab dard se dil ko tab aaya
aankhon mein kahan se KHwab aaya
Ashraf Ali Fughan
meri taraf se KHatir-e-sayyaad jama hai
kya uD sakega tair-e-be-baal-o-par kahin
Ashraf Ali Fughan