zindagi mujh ko meri nazron mein sharminda na kar
mar chuka hai jo bahut pahle use zinda na ka
Aqeel Shadab
nazar gum ho gai jalwon mein 'arif'
andhera kar diya hai raushni ne
Arif Abbasi
phunk kar main ne aashiyane ko
raushni baKHsh di zamane ko
Arif Abbasi
chand mere ghar mein utra tha kahin Duba na tha
ai mere suraj abhi aana tera achchha na tha
Arif Abdul Mateen
hamin ne raston ki KHak chhani
hamin aae hain tere pas chal ke
Arif Abdul Mateen
kabhi KHayal ke rishton ko bhi TaTol ke dekh
main tujh se dur sahi tujh se kuchh juda bhi nahin
Arif Abdul Mateen
tha e'timad-e-husn se tu is qadar tahi
aaina dekhne ka tujhe hausla na tha
Arif Abdul Mateen