main apne aap ko kis tarah sangsar karun
mere KHilaf mera dil agar gawahi de
Aqeel Shadab
meri talash mein hai koi aisa lagta hai
kisi ka gum-shuda 'shadab' raKHt hun shayad
Aqeel Shadab
mujhe kisi ne suna hi nahin tawajjoh se
main bad-zaban sada-e-karaKHt hun shayad
Aqeel Shadab
shayad koi kami mere andar kahin pe hai
main aasman pe hun mera saya zamin pe hai
Aqeel Shadab
tha jis pe meri zindagi ka inhisar
usi ka nam dhyan mein nahin raha
Aqeel Shadab
ye aur baat ki wo ab yahan nahin rahta
magar ye us ka basaya hua makan to hai
Aqeel Shadab
zindagi jis ke tasawwur mein basar ki hum ne
hae wo shaKHs haqiqat mein kahani nikla
Aqeel Shadab