nazar aae kya mujh se fani ki surat
ki pinhan hun dard-e-nihani ki surat
Anwar Dehlvi
nind ka kaam garche aana hai
meri aankhon mein par nahin aati
Anwar Dehlvi
phenkiye kyun mai-e-naqis saqi
shaiKH-sahib ki ziyafat hi sahi
Anwar Dehlvi
pi bhi ja shaiKH ki saqi ki inayat hai sharab
main tere badle qayamat mein gunahgar raha
Anwar Dehlvi
qamat hi likha hum ne sada ja-e-qayamat
qamat ne bhulaya tere imla-e-qayamat
Anwar Dehlvi
sharm bhi ek tarah ki chori hai
wo badan ko churae baiThe hain
Anwar Dehlvi
surat chhupaiye kisi surat-parast se
hum dil mein naqsh aap ki taswir kar chuke
Anwar Dehlvi