ye kaun nikal aaya yahan sair-e-chaman ko
shaKHon se mahakte hue zewar nikal aae
Anjum Khaleeq
zaban-bandi ke mausam mein gali-kuchon ki mat puchho
parindon ke chahakne se shajar aabaad hote hain
Anjum Khaleeq
zamin ki god mein itna sukun tha 'anjum'
ki jo gaya wo safar ki thakan bhul gaya
Anjum Khaleeq
zara si main ne tarjihat ki tartib badli thi
ki aapas mein ulajh kar rah gae duniya o din mere
Anjum Khaleeq
zarfishan hai meri zarKHez zaminon ka badan
zarra zarra mere punjab ka paras nikla
Anjum Khaleeq
andheri raat hai saya to ho nahin sakta
ye kaun hai jo mere sath sath chalta hai
Anjum Khayali
aankh jhapkin to itne arse mein
jaane kitne baras guzar jaen
Anjum Khayali