nazar jis ki taraf kar ke nigahen pher lete ho
qayamat tak phir us dil ki pareshani nahin jati
Anand Narayan Mulla
nizam-e-mai-kada saqi badalne ki zarurat hai
hazaron hain safen jin mein na mai aai na jam aaya
Anand Narayan Mulla
one wale tujhe rone ka saliqa hi nahin
ashk pine ke liye hain ki bahane ke liye
Anand Narayan Mulla
sar-e-mahshar yahi puchhunga KHuda se pahle
tu ne roka bhi tha bande ko KHata se pahle
Anand Narayan Mulla
shama ek mom ke paikar ke siwa kuchh bhi na thi
aag jab tan mein lagai hai to jaan aai hai
Anand Narayan Mulla
teri jafa ko jafa main to kah nahin sakta
sitam sitam hi nahin hai jo dil ko ras aae
Anand Narayan Mulla
tum jis ko samajhte ho ki hai husn tumhaara
mujh ko to wo apni hi mohabbat nazar aai
Anand Narayan Mulla