tu ne pheri lakh narmi se nazar
dil ke aaine mein baal aa hi gaya
Anand Narayan Mulla
us ek nazar ke bazm mein qisse bane hazar
utna samajh saka jise jitna shuur tha
Anand Narayan Mulla
wo duniya thi jahan tum rok lete the zaban meri
ye mahshar hai yahan sunni paDegi dastan meri
Anand Narayan Mulla
dil par choT paDi hai tab to aah labon tak aai hai
yun hi chhan se bol uThna to shishe ka dastur nahin
Andaleeb Shadani
jigar mein Tis lab hansne pe majbur
kuchh aisi hi hamari zindagi hai
Andaleeb Shadani
uff wo tufan-e-shabab aah wo sina tera
jise har sans mein dab dab ke ubharta dekha
Andaleeb Shadani
ab gham ka koi gham na KHushi ki KHushi mujhe
aaKHir ko ras aa hi gai zindagi mujhe
Anees Ahmad Anees