ek ek lamhe mein jab sadiyon ki sadiyan kaT gain
aisi kuchh raaten bhi guzri hain meri tere baghai
Anand Narayan Mulla
farq jo kuchh hai wo mutrib mein hai aur saz mein hai
warna naghma wahi har parda-e-awaz mein hai
Anand Narayan Mulla
gale laga ke kiya nazr-e-shoala-e-atish
qafas se chhuT ke phir aashiyan mile na mile
Anand Narayan Mulla
gham-e-hayat sharik-e-gham-e-mohabbat hai
mila diye hain kuchh aansu meri sharab ke sath
Anand Narayan Mulla
had-e-takmil ko pahunchi teri ranai-e-husn
jo kasar thi wo miTa di teri angDai ne
Anand Narayan Mulla
hum ne bhi ki thin koshishen hum na tumhein bhula sake
koi kami hamin mein thi yaad tumhein na aa sake
Anand Narayan Mulla
har ek surat pe dhoka kha rahi hain teri surat ka
abhi aata nahin nazron ko ta-hadd-e-nazar jaana
Anand Narayan Mulla