KHun-e-jigar ke qatre aur ashk ban ke Tapken
kis kaam ke liye the kis kaam aa rahe hain
Anand Narayan Mulla
main faqat insan hun hindu musalman kuchh nahin
mere dil ke dard mein tafriq-e-iman kuchh nahin
Anand Narayan Mulla
mohabbat farq kho deti hai aala aur adna ka
ruKH-e-KHurshid mein zarre ki hum tanwir dekhenge
Anand Narayan Mulla
mujhe kar ke chup koi kahta hai hans kar
unhen baat karne ki aadat nahin hai
Anand Narayan Mulla
muKHtasar apni hadis-e-zist ye hai ishq mein
pahle thoDa sa hanse phir umr bhar roya kiye
Anand Narayan Mulla
'mulla' bana diya hai ise bhi mahaz-e-jang
ek sulh ka payam thi urdu zaban kabhi
Anand Narayan Mulla
na jaane kitni shamen gul huin kitne bujhe tare
tab ek KHurshid itraata hua baala-e-baam aaya
Anand Narayan Mulla