zindagi ki dauD mein pichhe na tha
rah gaya wo sirf do ek gam se
Ameer Qazalbash
jab paDha jaur o jafa main ne to aai ye sada
Thik se paDh use joru hai jafa se pahle
Ameerul Islam Hashmi
meri majburiyon ne nazuki ka KHun kar Dala
har ek gobhi-badan ko gul-badan likhna paDa mujh ko
Ameerul Islam Hashmi
uTThe kahan baiThe kahan kab aae gae kab
begam ki tarah tum bhi hisabaat karo ho
Ameerul Islam Hashmi
do kinaron ko milaya tha faqat lahron ne
hum agar us ke na the wo bhi hamara kab tha
Ameeta Parsuram ‘Meeta’
hum ne hazar fasle ji kar tamam shab
ek muKHtasar si raat ko muddat bana diya
Ameeta Parsuram ‘Meeta’
kaun tha mere alawa us ka
us ne DhunDe the Thikane kya kya
Ameeta Parsuram ‘Meeta’