tum rah mein chup-chap khaDe ho to gae ho
kis kis ko bataoge ki ghar kyun nahin jate
Ameer Qazalbash
use bechain kar jaunga main bhi
KHamoshi se guzar jaunga main bhi
Ameer Qazalbash
usi ka shahr wahi muddai wahi munsif
hamein yaqin tha hamara qusur niklega
Ameer Qazalbash
waqt ke sath badalna to bahut aasan tha
mujh se har waqt muKHatib rahi ghairat meri
Ameer Qazalbash
yar kya zindagi hai suraj ki
subh se sham tak jala karna
Ameer Qazalbash
yakum january hai naya sal hai
december mein puchhunga kya haal hai
Ameer Qazalbash
zindagi aur hain kitne tere chehre ye bata
tujh se ek umr ki haalanki shanasai hai
Ameer Qazalbash