ba-majburi har ek ranj-o-mehan likhna paDa mujh ko
bana kar KHud ko mauzu-e-suKHan likhna paDa mujh ko
zabanen jin ki qainchi ki tarah chalti thin shauhar par
unhen shirin-zaban shirin-dahan likhna paDa mujh ko
har ek mahfil mein jalwon ki jo rishwat pesh karti thin
wo jaisi bhi thin jaan-e-anjuman likhna paDa mujh ko
meri majburiyon ne nazuki ka KHun kar Dala
har ek gobhi-badan ko gul-badan likhna paDa mujh ko
jab ek alhaD bani dulhan kisi bosida shauhar ki
to us ke surKH joDe ko kafan likhna paDa mujh ko
wo jin ki umr ki ghaDiyan nihayat sust chalti hain
sanad se un ki paidaish ka san likhna paDa mujh ko
basa-auqat hurmat bhi qalam ki daw par rakh di
luTeron ko muhibban-e-watan likhna paDa mujh ko
haqiqat ye hai wo bachche na mujrim the na qatil the
to sab ka qissa-e-dar-o-rasan likhna paDa mujh ko
wo be-hangam si jin ko dekh kar main tauba karta tha
ba-majburi unhen tauba-shikan likhna paDa mujh ko
bahut mushkil tha jin ko DhunDna make-up ke malbe se
so andaze se un ka bankpan likhna paDa mujh ko
Ghazal
Ba-majburi har ek ranj-o-mehan likhna paDa mujhko
Ameerul Islam Hashmi