mere ghar mein to koi bhi nahin hai
KHuda jaane main kis se Dar raha hun
Ameer Qazalbash
mere junun ka natija zarur niklega
isi siyah samundar se nur niklega
Ameer Qazalbash
mere paDos mein aise bhi log baste hain
jo mujh mein DhunD rahe hain buraiyan apni
Ameer Qazalbash
mujh se bach bach ke chali hai duniya
mere nazdik KHuda ho jaise
Ameer Qazalbash
puchha hai ghair se mere haal-e-tabah ko
izhaar-e-dosti bhi kiya dushmani ke sath
Ameer Qazalbash
subh tak main sochta hun sham se
ji raha hai kaun mere nam se
Ameer Qazalbash
suna hai ab bhi mere hath ki lakiron mein
najumiyon ko muqaddar dikhai deta hai
Ameer Qazalbash