achchhe isa ho marizon ka KHayal achchha hai
hum mare jate hain tum kahte ho haal achchha hai
Ameer Minai
allah-re sadgi nahin itni unhen KHabar
mayyat pe aa ke puchhte hain in ko kya hua
Ameer Minai
allah-ri nazakat-e-jaanan ki sher mein
mazmun bandha kamar ka to dard-e-kamar hua
Ameer Minai
'amir' ab hichkiyan aane lagi hain
kahin main yaad farmaya gaya hun
Ameer Minai
apni mahfil se abas hum ko uThate hain huzur
chupke baiThe hain alag aap ka kya lete hain
Ameer Minai
aghban kaliyan hon halke rang ki
bhejni hain ek kam-sin ke liye
Ameer Minai
aaten naseh ki sunin yar ke nazzare kiye
aankhen jannat mein rahin kan jahannam mein rahe
Ameer Minai