mai-kashon mein na koi mujh sa namazi hoga
dar-e-mai-KHana pe bichhta hai musalla apna
Aagha Akbarabadi
o sitamgar teri talwar ka dhabba chhaT jae
apne daman ko lahu se mere bhar jaane de
Aagha Akbarabadi
aqib qatl hua us ki tegh-e-abru se
haram-zada tha achchha hua halal hua
Aagha Akbarabadi
ind-mashrab hain kisi se hamein kuchh kaam nahin
dair apna hai na kaba na kalisa apna
Aagha Akbarabadi
sanam-parasti karun tark kyunkar ai waiz
buton ka zikr KHuda ki kitab mein dekha
Aagha Akbarabadi
sharab pite hain to jagte hain sari raat
mudam aabid-e-shab-zinda-dar hum bhi hain
Aagha Akbarabadi
shikayat mujh ko donon se hai naseh ho ki waiz ho
na samjha hun na samjhun sar phira le jis ka ji chahe
Aagha Akbarabadi