in pari-ruyon ki aisi hi agar kasrat rahi
thoDe arsa mein paristan aagara ho jaega
Aagha Akbarabadi
ji chahta hai us but-e-kafir ke ishq mein
tasbih toD Daliye zunnar dekh ka
Aagha Akbarabadi
junun ke hath se hai in dinon gareban tang
qaba pukarti hai tar tar hum bhi hain
Aagha Akbarabadi
kisi ko koste kyun ho dua apne liye mango
tumhaara faeda kya hai jo dushman ka zarar hoga
Aagha Akbarabadi
kisi sayyaad ki paD jae na chiDiya pe nazar
aap sarkaen na mahram se dupaTTa apna
Aagha Akbarabadi
kuchh aisi pila de mujhe ai pir-e-mughan aaj
qainchi ki tarah chalne lagi meri zaban aaj
Aagha Akbarabadi
mai-kasho der hai kya daur chale bismillah
aai hai shisha-o-saghar ki talabgar ghaTa
Aagha Akbarabadi