ikhar ke chhuT na jaun teri giraft se main
sambhaal kar mujhe ai mauj-e-KHush-ada le ja
Alimullah Hali
ek aawaz ne toDi hai KHamoshi meri
DhunDhta hun to pas-e-sahil-e-shab kuchh bhi nahin
Alimullah Hali
koi patthar ka nishan rakh ke juda hon hum tum
jaane ye peD kis aandhi mein ukhaD jaega
Alimullah Hali
sadaon ke jangal mein wo KHamushi hai
ki main ne har aawaz teri suni hai
Alimullah Hali
mera wajud jazb hua tere jism mein
ab mujh ko apne jism ke andar talash ka
Aliuddeen Naved
aain-e-jawan-mardan haq-goi o be-baki
allah ke sheron ko aati nahin rubahi
Allama Iqbal
aankh jo kuchh dekhti hai lab pe aa sakta nahin
mahw-e-hairat hun ki duniya kya se kya ho jaegi
Allama Iqbal