اردو हिंदी
Hai gham-e-hijr na ab zauq-e-talab kuchh bhi nahin | Shaahi Shayari
hai gham-e-hijr na ab zauq-e-talab kuchh bhi nahin

Ghazal

Hai gham-e-hijr na ab zauq-e-talab kuchh bhi nahin

Alimullah Hali

;

hai gham-e-hijr na ab zauq-e-talab kuchh bhi nahin
aaj tum lauT ke aae ho ki jab kuchh bhi nahin

tere Thukrane ki nisbat se hue hain mashhur
hum faqiron ka yahan nam-o-nasab kuchh bhi nahin

aaj ye bar-e-mulaqat uThega kyun-kar
us se milna hai pa milne ka sabab kuchh bhi nahin

ek aawaz ne toDi hai KHamoshi meri
DhunDhta hun to pas-e-sahil-e-shab kuchh bhi nahin