log mohtat hain rawayyon mein
qurbaton mein bhi fasla hai yahan
Ali Zubair
ajab kuchh ishq ki KHush-tar hai wadi
ki jis wadi mein hai har waqt shadi
Alimullah
chaman sun dil ke aalam ko KHabar nahin
hamesha dekhte KHaki badan ko
Alimullah
ishq ke kuche mein jab jata hai dil karne ko sair
wan nahin malum hota roz hai ya raat hai
Alimullah
talab irade ka bhare pal mein labaalab
jab yar ke dariya-e-karam sun lahr aawe
Alimullah
tark de islam ko aur kufr sara dur kar
chhoD de hirs-o-hawa farzand aur zan bhul ja
Alimullah
yar ke darsan ke KHatir jaan aur tan bhul ja
aankh munawwar dekh us ka rang-e-gulshan bhul ja
Alimullah