اردو हिंदी
Laga kar ishq ka kajra nayan ko | Shaahi Shayari
laga kar ishq ka kajra nayan ko

Ghazal

Laga kar ishq ka kajra nayan ko

Alimullah

;

laga kar ishq ka kajra nayan ko
dikhaun yan seti hubbulwatan ko

bazan le jaun har lahze mein ek bar
ki jab lag ruh sun rishta hai tan ko

rahe aalam mein us ka sair aur tair
na dekhe us ke kui mastane-pan ko

chaman sun dil ke aalam ko KHabar nahin
hamesha dekhte KHaki badan ko

kar aaun sair dil ke bostan ka
na jawe wo kabhi hargiz chaman ko

dikhaun yar ke zulfan sun yak tar
na chahe phir kabhi mushk-e-KHutan ko

na tha aadam atha wo zat-e-mutlaq
sunaun ye sada ab tujh kiran ko

sadaf mein nain ke dikhlaun gauhar
na rakhe aarzu durr-e-adan ko

nahin gauhar wo hain jyun chand aur sur
'alimullah' jahan ke anjuman ko