isi liye to hai zindan ko justuju meri
ki muflisi ko sikhai hai sar-kashi main ne
Ali Sardar Jafri
kaam ab koi na aaega bas ek dil ke siwa
raste band hain sab kucha-e-qatil ke siwa
Ali Sardar Jafri
kami kami si thi kuchh rang-o-bu-e-gulshan mein
lab-e-bahaar se nikli hui dua tum ho
Ali Sardar Jafri
partaw se jis ke aalam-e-imkan bahaar hai
wo nau-bahaar-e-naz abhi rahguzar mein hai
Ali Sardar Jafri
phuTne wali hai mazdur ke mathe se kiran
surKH parcham ufuq-e-subh pe lahraate hain
Ali Sardar Jafri
purane sal ki ThiThuri hui parchhaiyan simTin
nae din ka naya suraj ufuq par uThta aata hai
Ali Sardar Jafri
pyas jahan ki ek bayaban teri saKHawat shabnam hai
pi ke uTha jo bazm se teri aur bhi tishna-kaam uTha
Ali Sardar Jafri