kis naz se kahte hain wo jhunjhla ke shab-e-wasl
tum to hamein karwaT bhi badalne nahin dete
Akbar Allahabadi
kuchh allahabad mein saman nahin bahbud ke
yan dhara kya hai ba-juz akbar ke aur amrud ke
Akbar Allahabadi
kuchh nahin kar-e-falak hadsa-pashi ke siwa
falsafa kuchh nahin alfaz-tarashi ke siwa
Akbar Allahabadi
kuchh tarz-e-sitam bhi hai kuchh andaz-e-wafa bhi
khulta nahin haal un ki tabiat ka zara bhi
Akbar Allahabadi
kya hi rah rah ke tabiat meri ghabraati hai
maut aati hai shab-e-hijr na nind aati hai
Akbar Allahabadi
kya puchhte ho 'akbar'-e-shorida-sar ka haal
KHufiya police se puchh raha hai kamar ka haal
Akbar Allahabadi
kya wo KHwahish ki jise dil bhi samajhta ho haqir
aarzu wo hai jo sine mein rahe naz ke sath
Akbar Allahabadi