ghamza nahin hota ki ishaara nahin hota
aankh un se jo milti hai to kya kya nahin hota
Akbar Allahabadi
ghazab hai wo ziddi baDe ho gae
main leTa to uTh ke khaDe ho gae
Akbar Allahabadi
hum kya kahen ahbab kya kar-e-numayan kar gae
BA hue naukar hue pension mili phir mar gae
Akbar Allahabadi
haqiqi aur majazi shaeri mein farq ye paya
ki wo jame se bahar hai ye pajame se bahar hai
Akbar Allahabadi
har chand bagula muztar hai ek josh to us ke andar hai
ek wajd to hai ek raqs to hai bechain sahi barbaad sahi
Akbar Allahabadi
ilahi kaisi kaisi suraten tu ne banai hain
ki har surat kaleje se laga lene ke qabil hai
Akbar Allahabadi
in ko kya kaam hai murawwat se apni ruKH se ye munh na moDenge
jaan shayad farishte chhoD bhi den doctor fees ko na chhoDenge
Akbar Allahabadi