jalwa na ho mani ka to surat ka asar kya
bulbul gul-e-taswir ka shaida nahin hota
Akbar Allahabadi
jawani ki dua laDkon ko na-haq log dete hain
yahi laDke miTate hain jawani ko jawan ho ka
Akbar Allahabadi
jawani ki hai aamad sharm se jhuk sakti hain aankhen
magar sine ka fitna ruk nahin sakta ubharne se
Akbar Allahabadi
jis taraf uTh gai hain aahen hain
chashm-e-bad-dur kya nigahen hain
Akbar Allahabadi
jo waqt-e-KHatna main chiKHa to nai ne kaha hans kar
musalmani mein taqat KHun hi bahne se aati hai
Akbar Allahabadi
KHilaf-e-shara kabhi shaiKH thukta bhi nahin
magar andhere ujale mein cukta bhi nahin
Akbar Allahabadi
KHuda se mang jo kuchh mangna hai ai 'akbar'
yahi wo dar hai ki zillat nahin sawal ke baad
Akbar Allahabadi