wo jo pyasa lagta tha sailab-zada tha
pani pani kahte kahte Dub gaya hai
Aanis Moin
yaad hai 'anis' pahle tum KHud bikhre the
aaine ne tum se bikharna sikha tha
Aanis Moin
ye aur baat ki rang-e-bahaar kam hoga
nai ruton mein daraKHton ka bar kam hoga
Aanis Moin
ye intizar sahar ka tha ya tumhaara tha
diya jalaya bhi main ne diya bujhaya bhi
Aanis Moin
dekh daman-gir mahshar mein tere howenge hum
KHun hamara apne daman se na ai qatil chhuDa
Aarifuddin Aajiz
aankh khulte hi bastiyan taraj
koi lazzat nahin hai KHwabon mein
Aashufta Changezi
'ashufta' ab us shaKHs se kya KHak nibahen
jo baat samajhta hi nahin dil ki zaban ki
Aashufta Changezi