mere apne andar ek bhanwar tha jis mein
mera sab kuchh sath hi mere Dub gaya hai
Aanis Moin
mumkin hai ki sadiyon bhi nazar aae na suraj
is bar andhera mere andar se uTha hai
Aanis Moin
na jaane bahar bhi kitne aaseb muntazir hon
abhi main andar ke aadmi se Dara hua hun
Aanis Moin
na thi zamin mein wusat meri nazar jaisi
badan thaka bhi nahin aur safar tamam hua
Aanis Moin
tha intizar manaenge mil ke diwali
na tum hi lauT ke aae na waqt-e-sham hua
Aanis Moin
tumhaare nam ke niche khinchi hui hai lakir
kitab-e-zist hai sada is indiraj ke baad
Aanis Moin
utara dil ke waraq par to kitna pachhtaya
wo intisab jo pahle bas ek kitab pe tha
Aanis Moin