hairat se jo yun meri taraf dekh rahe ho
lagta hai kabhi tum ne samundar nahin dekha
Aanis Moin
hamari muskurahaT par na jaana
diya to qabr par bhi jal raha hai
Aanis Moin
hazaron qumqumon se jagmagata hai ye ghar lekin
jo man mein jhank ke dekhun to ab bhi raushni kam hai
Aanis Moin
ek Dubti dhaDkan ki sada log na sun len
kuchh der ko bajne do ye shahnai zara au
Aanis Moin
kab bar-e-tabassum mere honTon se uThega
ye bojh bhi lagta hai uThaega koi au
Aanis Moin
kyun khul gae logon pe meri zat ke asrar
ai kash ki hoti meri gahrai zara au
Aanis Moin
main apni zat ki tanhai mein muqayyad tha
phir is chaTan mein ek phul ne shigaf kiya
Aanis Moin