adan ki andhi gali to ja-e-aman Thahri
main apne andar ki raushni se Dara hua hun
Aanis Moin
ikhar ke phul fazaon mein bas chhoD gaya
tamam rang yahin aas-pas chhoD gaya
Aanis Moin
darkar tahaffuz hai pa sans bhi lena hai
diwar banao to diwar mein dar rakhna
Aanis Moin
gae zamane ki chap jin ko samajh rahe ho
wo aane wale udas lamhon ki siskiyan hain
Aanis Moin
gahri sochen lambe din aur chhoTi raaten
waqt se pahle dhup saron pe aa pahunchi
Aanis Moin
gaya tha mangne KHushbu main phul se lekin
phaTe libas mein wo bhi gada laga mujh ko
Aanis Moin
gunjta hai badan mein sannaTa
koi KHali makan ho jaise
Aanis Moin