اردو हिंदी
Wo kuchh gahri soch mein aise Dub gaya hai | Shaahi Shayari
wo kuchh gahri soch mein aise Dub gaya hai

Ghazal

Wo kuchh gahri soch mein aise Dub gaya hai

Aanis Moin

;

wo kuchh gahri soch mein aise Dub gaya hai
baiThe baiThe nadi kinare Dub gaya hai

aaj ki raat na jaane kitni lambi hogi
aaj ka suraj sham se pahle Dub gaya hai

wo jo pyasa lagta tha sailab-zada tha
pani pani kahte kahte Dub gaya hai

mere apne andar ek bhanwar tha jis mein
mera sab kuchh sath hi mere Dub gaya hai

shor to yun uTTha tha jaise ek tufan ho
sannaTe mein jaane kaise Dub gaya hai

aaKHiri KHwahish puri kar ke jina kaisa
'anas' bhi sahil tak aa ke Dub gaya hai