hala kya tana dun zuhhad ko zuhd-e-riyai ka
paDhi hai main ne masjid mein namaz-e-be-wazu barson
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
osa-e-ariz mujhe dete hue Darta hai kyun
lunga kya nok-e-zaban se tere ruKH ka til uTha
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
chahun ki haal-e-wahshat-e-dil kuchh raqam karun
bhagen huruf waqt-e-nigarish qalam se du
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
chale ho dasht ko 'nazim' agar mile majnun
zara hamari taraf se bhi pyar kar lena
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
ek hai jab marja-e-islam-o-kufr
farq kaisa subha-o-zunnar ka
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
ghar ki virani ko kya roun ki ye pahle si
tang itna hai ki gunjaish-e-tamir nahin
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
aa gaya dhyan mein mazmun teri yaktai ka
aaj matla hua misra meri tanhai ka
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
hai id mai-kade ko chalo dekhta hai kaun
shahd o shakar pe TuT paDe roza-dar aaj
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
hai jalwa-faroshi ki dukan jo ye ab isi ne
diwar mein khiDki sar-e-bazar nikali
Syed Yusuf Ali Khan Nazim