KHabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi
na to tu raha na to main raha jo rahi so be-KHabari rahi
Siraj Aurangabadi
khul gae us ki zulf ke dekhe
pech-e-dastar-e-zahid-e-makka
Siraj Aurangabadi
kiya hai jab sin amal be-KHudi ke hakim ne
KHirad-nagar ki raiyat hui hai ru ba-gurez
Siraj Aurangabadi
kiya KHak aatish-e-ishq ne dil-e-be-nawa-e-'siraj' kun
na KHatar raha na hazar raha magar ek be-KHatari rahi
Siraj Aurangabadi
kufr-o-iman do nadi hain ishq kin
aaKHirash dono ka sangam howega
Siraj Aurangabadi
kya hoega sunoge agar kan dhar ke tum
guzri birah ki raat jo mujh par kahaniyan
Siraj Aurangabadi
kya puchhte ho tum ki tera dil kidhar gaya
dil ka makan kahan yahi dil-dar ki taraf
Siraj Aurangabadi
kyunki howe zahid KHud-bin murid-e-zulf-e-yar
us ne sari umr mein zunnar kun dekha na tha
Siraj Aurangabadi
main hun to diwana pa kisi zulf ka nahin hun
wallah ki rakhta nahin yak tar kisi ka
Siraj Aurangabadi