tere suKHan mein ai naseh nahin hai kaifiyyat
zaban-e-qulqul-e-mina sin sun kalam-e-shara
Siraj Aurangabadi
teri abru hai mehrab-e-mohabbat
namaz-e-ishq mere par hui farz
Siraj Aurangabadi
tujh zulf mein dil ne gum kiya rah
is prem gali kun intiha nain
Siraj Aurangabadi
tumhaari zulf ka har tar mohan
hua mere gale ka haar mohan
Siraj Aurangabadi
waqt hai ab namaz-e-maghrib ka
chand ruKH lab shafaq hai gesu sham
Siraj Aurangabadi
wasl ke din shab-e-hijran ki haqiqat mat puchh
bhul jaani hai mujhe subh kun phir sham ki baat
Siraj Aurangabadi
wo aashiqi ke khet mein sabit qadam hua
jo koi zaKHm-e-ishq liya dil ki Dhaal pa
Siraj Aurangabadi
wo ajab ghaDi thi main jis ghaDi liya dars nusKHa-e-ishq ka
ki kitab aql ki taq par jun dhari thi tyun hi dhari rahi
Siraj Aurangabadi
wo zulf-e-pur-shikan lagti nahin hat
mujhe sari pareshani yahi hai
Siraj Aurangabadi