mufti-e-naz ne diya fatwa
KHun-e-ashiq halal karta hai
Siraj Aurangabadi
mujh kun har aan tere dard sin bahbudi hai
ishq-bazi mein ruKH-e-zard zar-e-sudi hai
Siraj Aurangabadi
mujh rang zard upar ghusse sin lal mat ho
ai sabz shaal wale ude rumal wale
Siraj Aurangabadi
mushtaq hun tujh lab ki fasahat ka wa-lekin
'ranjha' ke nasibon mein kahan 'hir' ki aawaz
Siraj Aurangabadi
mustaid hun tere zulfon ki siyahi le kar
safha-e-nama-e-amal kun kala karne
Siraj Aurangabadi
muwafaqat kare kyun mai-kashon sati zahid
idhar sharab udhar masjid-o-musalla hai
Siraj Aurangabadi
na mile jab talak visal us ka
tab talak faut hai mera matla
Siraj Aurangabadi
nahin baKHshi hai kaifiyyat nasihat KHushk zahid ki
jala dew aatish-e-sahba sin is kaDbi ke pole kun
Siraj Aurangabadi
nahin bujhti hai pyas aansu sin lekin
karen kya ab to yan pani yahi hai
Siraj Aurangabadi