mustaid hun tere zulfon ki siyahi le kar
safha-e-nama-e-amal kun kala karne
Siraj Aurangabadi
mushtaq hun tujh lab ki fasahat ka wa-lekin
'ranjha' ke nasibon mein kahan 'hir' ki aawaz
Siraj Aurangabadi
mujh rang zard upar ghusse sin lal mat ho
ai sabz shaal wale ude rumal wale
Siraj Aurangabadi
mujh kun har aan tere dard sin bahbudi hai
ishq-bazi mein ruKH-e-zard zar-e-sudi hai
Siraj Aurangabadi
main hun to diwana pa kisi zulf ka nahin hun
wallah ki rakhta nahin yak tar kisi ka
Siraj Aurangabadi
maktab-e-ishq ka moallim hun
kyun na hoe dars-e-yar ki takra
Siraj Aurangabadi
maktab mein mere junun ke majnun
nadan hai tifl-e-abjadi hai
Siraj Aurangabadi
main kaha kya araq hai tujh ruKH par
muskura kar kaha ki fitna hai
Siraj Aurangabadi
marham tere visal ka lazim hai ai sanam
dil mein lagi hai hijr ki barchhi ki hul aaj
Siraj Aurangabadi

