fasil-e-jism pe taza lahu ke chhinTe hain
hudud-e-waqt se aage nikal gaya hai koi
Shakeb Jalali
aa ke patthar to mere sehn mein do-chaar gire
jitne us peD ke phal the pas-e-diwar gire
Shakeb Jalali
ham-safar rah gae bahut pichhe
aao kuchh der ko Thahar jaen
Shakeb Jalali
is shor-e-talatum mein koi kis ko pukare
kanon mein yahan apni sada tak nahin aati
Shakeb Jalali
jati hai dhup ujle paron ko sameT ke
zaKHmon ko ab ginunga main bistar pe leT ke
Shakeb Jalali
jahan talak bhi ye sahra dikhai deta hai
meri tarah se akela dikhai deta hai
Shakeb Jalali
jo motiyon ki talab ne kabhi udas kiya
to hum bhi rah se kankar sameT lae bahut
Shakeb Jalali
kahta hai aaftab zara dekhna ki hum
Dube the gahri raat mein kale hue nahin
Shakeb Jalali
koi bhula hua chehra nazar aae shayad
aaina ghaur se tu ne kabhi dekha hi nahin
Shakeb Jalali