yun to sara chaman hamara hai
phul jitne bhi hain parae hain
Shakeb Jalali
gale mila na kabhi chand baKHt aisa tha
hara-bhara badan apna daraKHt aisa tha
Shakeb Jalali
aaj bhi shayad koi phulon ka tohfa bhej de
titliyan manDla rahi hain kanch ke gul-dan pa
Shakeb Jalali
aalam mein jis ki dhum thi us shahkar par
dimak ne jo likhe kabhi wo tabsire bhi dekh
Shakeb Jalali
abhi arman kuchh baqi hain dil mein
mujhe phir aazmaya ja raha hai
Shakeb Jalali
ad-qismati ko ye bhi gawara na ho saka
hum jis pe mar miTe wo hamara na ho saka
Shakeb Jalali
as ek raat Thaharna hai kya gila kije
musafiron ko ghanimat hai ye sarae bahut
Shakeb Jalali
dil sa anmol ratan kaun KHaridega 'shakeb'
jab bikega to ye be-dam hi bik jaega
Shakeb Jalali
ek apna diya jalane ko
tum ne lakhon diye bujhae hain
Shakeb Jalali