اردو हिंदी
Kanar-e-ab khaDa KHud se kah raha hai koi | Shaahi Shayari
kanar-e-ab khaDa KHud se kah raha hai koi

Ghazal

Kanar-e-ab khaDa KHud se kah raha hai koi

Shakeb Jalali

;

kanar-e-ab khaDa KHud se kah raha hai koi
guman guzarta hai ye shaKHs dusra hai koi

hawa ne toD ke patta zamin pe phenka hai
ki shab ki jhil mein patthar gira diya hai koi

baTa sake hain paDosi kisi ka dard kabhi
yahi bahut hai ki chehre se aashna hai koi

daraKHt-e-rah bataen hila hila kar hath
ki qafile se musafir bichhaD gaya hai koi

chhuDa ke hath bahut dur bah gaya hai chand
kisi ke sath samundar mein Dubta hai koi

ye aasman se TuTa hua sitara hai
ki dasht-e-shab mein bhaTakti hui sada hai koi

makan aur nahin hai badal gaya hai makin
ufuq wahi hai magar chand dusra hai koi

fasil-e-jism pe taza lahu ke chhinTe hain
hudud-e-waqt se aage nikal gaya hai koi

'shakeb' dip se lahra rahe hain palkon par
dayar-e-chashm mein kya aaj rat-jaga hai koi