اردو हिंदी
Gham-e-dil hita-e-tahrir mein aata hi nahin | Shaahi Shayari
gham-e-dil hita-e-tahrir mein aata hi nahin

Ghazal

Gham-e-dil hita-e-tahrir mein aata hi nahin

Shakeb Jalali

;

gham-e-dil hita-e-tahrir mein aata hi nahin
jo kinaron mein simaT jae wo dariya hi nahin

os ki bundon mein bikhra hua manzar jaise
sab ka is daur mein ye haal hai mera hi nahin

barq kyun un ko jalane pe kamar-basta hai
main to chhanw mein kisi peD ki baiTha hi nahin

ek kiran tham ke main dhup-nagar tak pahuncha
kaun sa arsh hai jis ka koi zina hi nahin

koi bhula hua chehra nazar aae shayad
aaina ghaur se tu ne kabhi dekha hi nahin

bojh lamhon ka har ek sar pe uThae guzra
koi is shahr mein sustane ko Thahra hi nahin

saya kyun jal ke hua KHak tujhe kya malum
tu kabhi aag ke dariyaon mein utra hi nahin

moti kya kya na pare hain tah-e-dariya lekin
barf lahron ki koi toDne wala hi nahin

is ke pardon pe munaqqash teri aawaz bhi hai
KHana-e-dil mein faqat tera sarapa hi nahin

hail-e-rah the kitne hi hawa ke parbat
to wo baadal ki mere shahr se guzra hi nahin

yaad ke daere kyun phailte jate hain 'shakeb'
us ne talab mein kankar abhi phenka hi nahin